Tum devaron say apna sir takrao gay.
Molvi sab ap ko yaqeen hota k khuda aik k badlay das dayta hai to phir ap logon say paisay laynay ki bajaAy logon ko paisay daytay kyun nahi ho.Roader X Shah.
Background of Muslims
Kya ye wohi kalima go musalman nahi jinho nay kalima parhanay say pehlay nabi par pathar barsaAy
Bhalu shah jab kalima parh liya to hazam na huva ahley bait par nazay aur khanjar chaAy.
Aik bay his aur bakheel ameer ki vajah say kam-o-baish aik darjan gareeb takleef me mubtala hotay hain.Roader X.
Ye chaku churyan chalatay rahain gay pathar barsatay rahain gay
Yehi musalmano ki tareekh hai neyzon par quran uthatay rahain gay.
Mulk me fasal ki jagah kalashakof kasht ki jaAy takay mulk ki difai paidavar me izafa ho.Zaid Hamid Difai tajziya kar.
Kal neyzon par quran uthaya tha aj jagha jagha latkaya hai
Musalmano nay bay adbi ka bohat hi shandar namona dikhaya hai.
Pakistan Islam ka qila kam aur molviyon ka qila zaida hai.RX.
Ye goya kafir hain par khud ko musalman batatay hain
Varna kalimay to esai bhi yad kar k sunatay hain.
Sarkon me paray gadhon ki vajah say vehicles ki raftar taiz nahi ho pati jis ki vajah say accidents me kami huvi hai.Engineer RX.
Kafir hafizey quran ho jaAy to kya janat me jaAy ga
Molvi to halva kha raha hai ye tujhay kya bataAy ga.
Nawaz shareef shabaz shareef surma shareef kanga shareef ,to phir badmash kon hai RX Shareef.RX Shah.
Bachay ko chomna acha bahana hai larkon ko dikhanay ka
Larkon ko apni taraf mail karnay ka aur patanay ka.
Bhalu shah ye larkiyan karti kuch hain aur maqsad kuch aur hota hai
Ghar say karaya lahore ka layti hain aur dil me peshore hota hai.
Ab logon ko jhulay laynay k liye parks me janay ki zaroorat nahi hai sarkon par bay tukay speed bumps laga diye hain jin k jhatkon say sara shoq pura ho jaAy ga.Engineer RX.
Machli uchlay aur pani say bar bar bahar aAy
Bhalu to phir kyun na machvaray ka dil lalchaAy.
Sugar k mareez ko mithai nahi khilatay
RX jaisay k samnay aurat nahi latay.
Ainda sarkon ki tameer janab hamza shahbaz shareef apni zeray nigrani karvain gay takay sarkon par VIPs k liye helicopter bhi chal sakain.Roader X Correspondent.
Na nechay daikh na upar
Seedha hi ban ja super.
Makeup sasta nahi to kya huva ham nay mulk me dhonvay aur miti ko aam kar diya hai takay khas-o-aam mustafeez hon.(Pak-EPA)
Kyun RX jaisay aurton ko samajhtay hain al-anfaal
Baglol keh day ye nahi maley ganemat ka maal.
Awam k liye aik aur khushkhabri ab accident honay par ap hospital k kharchay say bach jain gay kyun k sarak kinaray lagaAy gaAy neyzon jaisay taiz janglay foran jan nikaal dain gay.Roader X Correspondent.
RX aurton k liye tayaar
Chahay lail ho ya nahaar.

Masjid to daikh le ab girjay me jatay hain
Wahan ja kar aik do love candles jalatay hain.
Professor RX nay bilaval bhuto ko urdu ki tuition daynay say inkar kartay hovay kaha hai k me sirf larkiyon ko tuition dayta hun.Prof.Dr.Roader X Phd Mars.
Jitni dair dua mangti hai itni dair ham say hamain mangti to ham tayray ho jatay
Aray ye zamana kya cheez hai janey man tayri khatir dozak k farishton say maar khatay.
Ye maulanay ye in k bayanaat
Kon kehta hai in ko fussilaat.
Molvi masjid banvanay ki bajaAy pani ka nalka lagva day to kam az kam kisi pyasay ki pyas to bhujay ge.RX.
Kya chahaty hain cigarette penay valay ad-dukhan
Ay musalman kya tayray andar raha nahi imaan.
Daikh to sahi ye aaj k muslimoon
Kya in say behtar nahi hain kafiroon.
Bay his insanyat say khali ye musalman
Kalima parh kar jata rahay hain ehsan.
Mashoq esai hai to ham bhi esai huvay
Aaj say koi bhi hamain musalman na kahay.
Mashoq nay keh diya hai meri doli uthay ge to sirf tayray nam ki
Roader varna sarey aam lut jaon ge rahun ge kisi na kam ki.
Shatan tab bana tha jab adam ko sajday say inkar kiya tha
Devana kisi aur ka tha aur kisi aur say pyar kiya tha.
Hafiz saeed jaisay logon ko doranay nimaz bhi india nazar ata hai
Mun qibla rukh hota hai par sajda america ko jata hai.
Zaid hamid jaisay log jitna zikr america ka kartay hain itna zikr khuda ka karain to shayad janat mil jaAy.Roader X.
Sain jina ishq imam banaya
Ona masetan ton chutkara paya.
Ye kaisa daroord hai jo tun dunya ko sunata hai
Darood to wo hai jo khud ishq parhata hai.
Kya tujhay kabhi farishton k darood parhanay ki awaz aie hai
Mujhay lagta hai tun nay bay adbi ki qasam khai hai.
Quran kehta hai adab say lo namey nabi
Sain baglol yahan to cheekhtay chilatay hain sabhi.
Drama hi karna hai to dramon me chalay jao
Duniya ko ashiqey nabi to na ban kar dikhao.
Tayray ishq ki haqeqat tujh say zaida behtar aur kon janta hai
Tun dil say munkar hai zaban say kehta hai me manta hai.
Ye musalman munkar paisay kamanay k liye natain parhtain hain
Sain davae ishq jhuta hai ye paison pay martay hain.
Nabina kya hovay socha naat parhain gay to paisay aAyn gay
Ashiq bhi mashoor ho jain gay dehari bhi banain gay.
Na tayri mehfil me momin na tayri mehfil me mard
Yehi vajah hai mera dil ho gaya tujh say sard.
Tum say kis nay kaha aurton ko makeup kara k natain parhnay k liye mardon k samnay lao
Sain baglol keh day ay jali musalmano quran-o-hadith say mujhay koi aik aisi daleel dikhao.
Ye media jo khud ko samajhta hai waqt ka imam
Shayad hi is say zaida koi khata ho ga haram.
Sari jhuti sachi mashooriyan chalatay hain
Kya media valay halal khatay hain.
Ye media aur ye propaganda
Kya hai molviyon ka agenda.
Kab tak yunhi sir khatay raho gay
Qainchi ki tarah zaban chalatay raho gay.
Batooni shaks ki hikmat jati rehti hai.RX.
Gat kha qatal de sahayli sarkar
Faiz rakai na bay kar.
Za spak yam za nay paygam
Ta droni ta paygay.
Surah fatiha drone tiyara na day sok resta wurta zee.RX.
Da sanga sata darkhast day ao sanga dua
Sain baglol tapos oka valay na qablai khuda.
Takaray vowl ao sir khuri towlo la razi
Sain baglol banda haga day che rishcha vai.
Istagraq na bagair vilayat namukamal day.Sain baglol.
Za sata pashantay da akhpal botano mazay um na jorum.RX.
Ye larkiyan ye rasmain dono nay nikaal diya janaza
Ham aj tak bhugat rahay hain dono ka khamyaza.
Rozay rakhna payan ayn saray mahalay nu dasna payan ayn
Tun savab ton vad gunah vatna payan ayn.
Khuda kun na day valay ta shor kai
Sain baglol tapos oka valay ta gavandyano tangai.
Mata um vokhay sok sahibey karamat
Za um qaval ghavaram hajamat.
Towl quran pa kalima tayab k day,towl kalima tayab pa ism k day,ism pa shamsheer k day ao da tora khudi day.Baglol.
Peeryano kho pata nishti seshay khuri kho albata musalmanan sir khuri.RXX.
Rizwan roader miss sonali bendrey ka fan hai
Ye aurton ko talnay vala fry pan hai.
Bay chara roader na sonali bendrey mili na mehreen raheel
Roader ko sir par mili mashoq k sandal ki heel.
Roader jaison ki bhi koi zindagi hai
Bhalu ye ishq majazi to sharmindagi hai.
Makray ki tarah apnay shikar k gird jala banata hai
Ye roader kaisa shah hai ye to dari mundata hai.
Bachay tun nay school mein X ki power nikali hai
Tujhay ye nahi pata RX nay Y me power dali hai.
Jab roader nay suna pehli nazar maaf hai to khushi say uchal para
Bus phir kya tha jeo molvi k naray laganay laga ho kar khara.
Bhalu baglol tum najanay kis jahan me khoay rehtay ho
Ham tumharay paas bethay hotay hain tum chup rehtay ho.
Rishtay me ham tayray kuch nahi lagtay par vaisay to yar hain
Janay man tun khud hi to kehti hai ham tayra pyar hain.
Husn k ashiq to hain hazaron par ham sa nahi koi pojari
Ham to tayray husn ki poja mein apna khuda bhi bhol gaAy.
Dua kartay hain tayri deed ho jaAy
Eid say pehlay hamari eid ho jaAy.
Abad-ur-Rehman kya khob kaha hai kisi nay andhayray k bad ujala hai
Urvashi Rautela ham nay tayra nam apnay nam k darmiyan sanbhala hai.------->
<----------
--------------------------------------------------------------------------------
--------------------------------------------------------------------------------
Neither For Pink Nor For Green
This is Only For My Beauty Queen.
Tohfae dil tayray huzoor paish kartay hain qabool kijie ga
Hamari har ik baat ka pyar say badla lijiye ga.
Ay sanam tayray husn k charchay sunay to ham nay bhi tayray shehar ka ruk kiya
Apni qismat hi kharab nikli ham shehar me dakhil hovay aap nay shehar chor diya.
Hamara itna naseeb kahan k wisalay yar milay
Hamari itni qismat nahi k mashoq ka pyar milay.
Pakistani kya kahain gay larki bhi mili to hindustan mein
Aray shukr karo ye mujhay mil to gai jahan mein.
Asman zameen say mil sakta hai par nahi ho sakta tayra mera milaap
Ay sanam kahan ham jaisa haqeer faqeer aur kahan Aap.
Urvashi ge chahay roader ko india ghumana par murga na banana
Varna subah saveray azaan day kar logon ko paray ga jagana.
Tun hai India ki churail roader hai Pakistan ka baba
Chal ikathay chaAy piyain dhondh koi acha sa dhaba.
Ay sanam tayri khatir fatvay lagvaAy tayri khatir zakham khaAy
Kab tun A kar marham lagaAy ge nikal rahi hai haAy haAy.
Urvashi ham koi bhikari nahi jo bakshish me mangain tayra pyar
Tun chahay to is had tak bhi janay ko hain tayar.
Urvashi mat ro mera dil dukh jaAy ga
Udas ho jaon ga kon mujhay hansaAy ga.
Moorti poja galat hai par tun to morat hai
Tun Rab ki takleeq hai tun khobsorat hai.
Samajh nahi ati ye sab hamaray sath hi kyun hota hai
Ay sanam takleef tujhay hoti hai aur dil mera rota hai.
Urvashi roti kyun hai no tayray paas hai Roader ko bula lay
Aray wohi puranay vala four two zero four two zero mila lay.
Urvashi kyun roti hai roader hai na tayra sahara
Tayray liye shadi nahi ki hai ab tak kunvara.
Ay sanam tun kamal hai tujhay bananay vala bakamaal
Tun hai us k husn ki jeeti jagti misaal.
Abad-ur-Rehman kya khob kaha hai kisi nay andhayray k bad ujala hai
Urvashi Rautela ham nay tayra nam apnay nam k darmiyan sanbhala hai.--->
<----
------------------------------------------------------------------------
------------------------------------------------------------------------
Tun mujasmae husn aur me pojari kunvara
Tayri mahabat me bana phirta hun banjara.
India ka lahore pay bohat dil bajta hai
Janabay vala lahore Pakistan me hi jachta hai.
Na aad raha na samood
Na shadad raha na namrood.
Na musa raha na haroon
Na firaon raha na qaroon.
Sain baglol kya hai aaj ka musalman
Gebat bohtan jhot faraib waham-o-guman.
Jo jaisay kaam karay ga wo waisa ajar paAy ga
Galat kaam karnay vala kaisay janat me jaAy ga.
Roader sanam say aik chuma udhar kya liya ab sood samaid wapas maang rahi hai
Pehlay to had me rehti thi laykin ab sari hadain phalang rahi hai.
Sanam jahan aik dafa milnay diya hai wahan aik dafa aur milnay do
Wo gafoor-ur-raheem hai maaf kar day gunah aik ho ya aik so.
Bohat roka apnay ap ko par usay tanha daikh kar ham say raha na gaya
Janay anjanay mein sab kuch ho gaya phir bhi ham say kuch kaha na gaya.
Kaam wohi illegal tha molvi nay kalimay kya parhaAy legal ki mohar lag gai
Ab ham wohi same kaam kartay hain par kya hai k legal kehlata hai.
Maulana tun khud hi to kehta hai jo kuch hota hai khuda ki marzi say hota hai
Maulana ab jab roader ko kisi say pyar ho raha hai to tun kyun chilata hai.
Kabhi kehtay hain khuda ki marzi say sab kuch hota hai kabhi kehtay hain shatan dakal andazi karta hai
Bhalu baglol tun kehta kyun nahi tum logon ki inhi baton ki vajah say to pagal khana bharta hai.
La hau la maulana nay parhi to maulana khud bhaag gaya
Roader maulana sahab ki awaz sun kar jaag gaya.
Jab javab na day sakain to larna shoru kar daytay hain
Ye molvi logon k kaan bharna shoru kar daytay hain.
Jaisay molvi vaisi awam
Na gusal na hamam.
Kya huva tayra kalima tujhay musalman na kar paya
Musalman khuda vala hota hai ye quran nay farmaya.
Sir pay pagri hai dil mein iman nahi
Azan dayta hai par bilal vali shan nahi.
Maloom nahi tayri Ma nay tujhay kya kha k paida kiya hai
Ay darvaish tun nay kon sa kisi talib ko faiz diya hai.
Kyun tayray valyon me kanjoosi pai jati hai
Ay muslim kya aisay akhirat banai jati hai.
Kya gyarvin gyarvin ki rat lagai hai
Aray gyarvin kis marz ki davai hai.
Ye amil jo tasbi ghumata hai
Ye kyun dosron par bohtan lagata hai.
Abhi musalman hovay nahi k haji ban'na chahatay hain
Sain pehla sabaq khamoshi hai ye sir khatay hain.
Khud ko musalman kehtay hain andar dakhil huva nahi iman
Bhalu baglol dosron par tashadud karna hai in ki pehchan.
Maulana to jaisay islam ka thaykay dar hai
Haqeqat to ye hai ye khata kar hai.
Ye mufti jo muft ki rotyan toorta hai
Logon say chanda lay kar paisay jorta hai.
Ay tabligi tun samajhta hai khud ko khalifae khuda
Khilafat kya hoti hai zara mujhay bhi to bata.
Koi rook sakta hai to rook lay me kafir honay ja raha hun
Aray me to tum jaisay musalmano k mun lag kar pachta raha hun.
Hai koi marday khuda to samnay aAy
Zabani kalimay parhnay vala bhaar me jaAy.
Paisa kharchnay k liye hota hai qabar me lay janay k liye nahi
Ye zaroorat puri karnay k liye hota hai fazool uranay k liye nahi.
Alim ko Islam say kya lagao
Ye to khana chahata hai pulao.
Ashiq mashoq k siva kisi aur ko daikhay ga to mashoq ko gusa to aAy ga
Bhalu baglol sab kuch maaf ho sakta hai laykin ye shirk maaf na ho paAy ga.
Sajday ki niyat na thi kar bhi dayta to khuda nay qabool na karna tha
Bhalu baglol keh day adam nay adam hi rehna tha shatan nay shatan hi ban'na tha.
Aik roz khol hi liya ham nay quran
Kya daikhtay hain andar likha huva hai shatan.
Shatan paida huva ya bana ya phir banaya gaya
is raaz say aaj tak parda na uthaya gaya.
Adam janat me rehta tha to phir janat me kaisay aya shatan
Ab ye mat kehna adam kundi lagani bhol gaya tha bhai jan.
Ye kaisi janat thi jahan shatan bhi hota tha
Hazrat adam jaisa galti karta tha aur rota tha.
Kaisi janat thi jahan horon ka na tha nam-o-nishan
Aik mai hava phirti thi ban kar Adam k liye imtihan.
Ham na jain gay aisi janat me jahan rehta hai shatan
Ham dozak me jain gay jahan nazar na ay koi musalman.
Majra kya hai ilahi adam kahan say aya shatan kahan say aya
Ama hava ka hazrat adam k sath nikah kis nay parhaya.
Tabligi tableeg chor pehlay meray savalon ka dhondh javab
Bayta parh lay jonsi parhni hai tun nay kitab.
Musalmano hazaron k majmay lagatay ho koi karni vala na dikhatay ho
Majmay hindu bhi lagatay hain tum hindu kyun na ho jatay ho.
Nabi mojza dikhatay thay sahabi karamat dikhatay thay
Wo tumhari tarah khali qisay na sunatay thay.
Maulana sahab husn valon say bachnay ki koi dua ho to zaroor bataye ga
Ham husn valon ko daikhtay rahain gay aap parh parh kar sunaye ga.
Visit www.Tasawur42.blogspot.com



No comments:
Post a Comment